Be-e’tidāliyoñ se subuk sab meñ ham hue
Jitne ziyāda ho ga.e utne hī kam hue
Pinhāñ thā daam saḳht qarīb āshiyān ke
Udane na paa.e the ki giraftār ham hue
Hastī hamārī apnī fanā par dalīl hai
Yaañ tak miTe ki aap ham apnī qasam hue
Saḳhtī kashān-e-ishq kī pūchhe hai kyā ḳhabar
Vo log rafta rafta sarāpā alam hue
Terī vafā se kyā ho talāfī ki dahr meñ
Tere sivā bhī ham pe bahut se sitam hue
Likhte Rahe junūñ kī hikāyāt-e-ḳhūñ-chakāñ
Har-chand is meñ hath hamāre Qalam hue
Allāh re terī tundi-e-ḳhū jis ke biim se
Ajzā-e-nāla dil meñ Mire Rizq-e-ham hue
Ahl-e-havas kī fat.h hai tark-e-nabard-e-ishq
Jo paañv uth ga.e vahī un ke alam hue
Naale adam meñ chand hamāre supurd the
Jo vaañ na khiñch sake so vo yaañ aa ke Dam hue
Chhodī ‘asad’ na ham ne gadā.ī meñ dil-lagī
Saa.il hue to Ashiq-e-ahl-e-karam hue