Balā se haiñ jo ye pesh-e-nazar dar-o-Dīvār
Nigāh-e-shauq ko haiñ bāl-o-par dar-o-Dīvār
Vufūr-e-ashk ne kāshāne kā kiyā ye Rañg
Ki ho ga.e mire dīvār-o-dar dar-o-Dīvār
Ga.e haiñ chand qadam pesh-tar dar-o-Dīvār
Huī hai kis qadar arzāni-e-mai-e-jalva
Ki mast hai tire kūche meñ har dar-o-Dīvār
Jo hai tujhe sar-e-saudā-e-intizār to Aa
Ki haiñ dukān-e-matā-e-nazar dar-o-Dīvār
Ki gir paḌe na mire paañv par dar-o-Dīvār
Vo aa rahā mire ham-sā.e meñ to saa.e se
Hue fidā dar-o-dīvār par dar-o-dīvār
Nazar meñ khaTke hai bin tere ghar kī Abādī
Hamesha rote haiñ ham dekh kar dar-o-Dīvār
Na pūchh be-ḳhudi-e-aish-e-maqdam-e-sailāb
Ki nāchte haiñ paḌe sar-ba-sar dar-o-dīvār
Na kah kisī se ki ‘ġhālib’ nahīñ zamāne meñ
Harīf-e-rāz-e-mohabbat magar dar-o-dīvār….