Bahut sahī ġham-e-gītī sharāb kam kyā hai
Ghulām-e-sāqi-e-kausar huuñ mujh ko ġham kyā hai
Tumhārī tarz-o-ravish jānte haiñ ham kyā hai
Raqīb par hai agar lutf to sitam kyā hai
Suḳhan meñ ḳhāma-e-ġhālib kī ātish-Afshānī
Yaqīñ hai ham ko bhī lekin ab us meñ Dam kyā hai
KaTe to shab kaheñ kaaTe to saañp kahlāve
Koī batāo ki vo zulf-e-ḳham-ba-ḳham kyā hai
Likhā kare koī ahkām-e-tāla-e-Maulūd
Kise ḳhabar hai ki vaañ jumbish-e-Qlam kyā hai
Na hashr-o-nashr kā qaa.el na kesh o millat kā
Khudā ke vāste aise kī phir qasam kyā hai
Vo dād-o-dīd garāñ-māya shart hai Hamdam
Vagarna mehr-e-sulaimān-o-jām-e-jam kyā hai….