bāhar kā dhan aatā jaatā asal ḳhazāna ghar meñ hai
har dhuup meñ jo mujhe saayā de vo sachchā saayā ghar meñ hai
pātāl ke dukh vo kyā jāneñ jo sat.h pe haiñ milne vaale
haiñ ek havāla dost mire aur ek havāla ghar meñ hai
mirī umr ke ik ik lamhe ko maiñ ne qaid kiyā hai lafzoñ meñ
jo haarā huuñ yā jiitā huuñ vo sab sarmāya ghar meñ hai
tū nanhā-munnā ek diyā maiñ ek samundar añdhiyārā
tū jalte jalte bujhne lagā aur phir bhī añdherā ghar meñ hai Like1:46 pm