Baat koi umiid ki mujh se nahin kahi gai
So mire ḳhvab bhi gae so meri niind bhi gai
Dil ka tha ek muddaa jis ne tabah kar diya
Dil men thi ek hi to baat vo jo faqat sahi gai
Janiye kya talash thi ‘Jaun’ mire vajud men
Jis ko main Dhundhta gaya jo mujhe Dhundhti gai
Ek ḳhushi ka haal hai ḳhush-suḳhanan ke darmiyan
Izzat-e-shaeqin-e-ġham thi jo rahi-sahi gai
Bud-o-nabud ki tamiz ek azaab thi ki thi
Yaani tamam zindagi dhund men Dubti gai
Us ke jamal ka tha din mera vajud aur phir
Subah se dhuup bhi gai raat se chandni gai
Jab main tha shahr zaat ka tha mira har-nafas azaab
Phir main vahan ka tha jahan halat-e-zat bhi gai
Gard-fashan huun dasht men sina-zanan huun shahar men
Thi jo saba-e-samt-e-dil jaane kahan chali gai
Tum ne bahut sharab pi us ka sabhi ko dukh hai ‘jaun’
Aur jo dukh hai vo ye hai tum ko sharab pi gai