Avval avval kī dostī hai abhī
Ik ġhazal hai ki ho rahī hai abhī
Maiñ bhī shahr-e-vafā meñ nau-vārid
Vo bhī ruk ruk ke chal rahī hai abhī
Maiñ bhī aisā kahāñ kā zūd-shanās
Vo bhī lagtā hai sochtī hai abhī
Dil kī vāraftagī hai apnī jagah
Phir bhī kuchh ehtiyāt sī hai abhī
Garche pahlā sā ijtināb nahīñ
Phir bhī kam kam supurdagī hai abhī
Kaisā mausam hai kuchh nahīñ khultā
Būñdā-bāndī bhī dhuup bhī hai abhī
Khud-kalāmī meñ kab ye nashsha thā
Jis tarah rū-ba-rū koī hai abhī
Qurbateñ laakh ḳhūb-sūrat hoñ
Dūriyoñ meñ bhī dilkashī hai abhī
Fasl-e-gul meñ bahār pahlā gulāb
Kis kī zulfoñ meñ Tāñktī hai abhī
Muddateñ ho ga.iiñ ‘Farāz’ magar
Vo jo dīvāngī ki thī hai abhī