Apne Sab yaar kaam kar rahe hain
Aur ham hain ki naam kar rahe hain
Teġh-bazi ka shauq apni jagah
Aap to qatl-e-am kar rahe hain
Dad-o-tahsin ka ye shor hai kyuun
Ham to ḳhud se kalam kar rahe hain
Ham hain masruf-e-intizam magar
Jaane kya intizam kar rahe hain
Hai vo bechargi ka haal ki ham
Har kisi ko salam kar rahe hain
Ek qattala chahiye ham ko
Ham ye ealan-e-am kar rahe hain
Kya bhala saġhar-e-sifal ki ham
Nāf-pyale ko jaam kar rahe hain
Ham to aae the arz-e-matlab ko
Aur vo ehtiram kar rahe hain
Na uthe aah ka dhuan bhi ki vo
Ku-e-dil men ḳhiram kar rahe hain
Us ke honton pe rakh ke hont apne
Baat hi ham tamam kar rahe hain
Ham ajab hain ki us ke kuche men
Be-sabab dhum-dham kar rahe hain