Anokhi vaza hai saare zamane se nirale hain
Ye ashiq kaun si basti ke ya-rab rahne vaale hain
Ilaj-e-dard men bhi dard ki lazzat pe marta huun
Jo the chhalon men kante nok-e-sozan se nikale hain
Phala-phula rahe ya-rab chaman meri umidon ka
Jigar ka ḳhuun de de kar ye buute main ne paale hain
Rulati hai mujhe raton ko ḳhamoshi sitaron ki
Nirala ishq hai mera nirale mere naale hain
Na puchho mujh se lazzat ḳhanaman-barbad rahne ki
Nasheman saikdon main ne bana kar phunk Daale hain
Nahin beganagi achchhi rafiq-e-rah-e-manzil se
Thahar jā ai sharar ham bhi to aḳhir mitne vaale hain
Umid-e-hur ne sab kuchh sikha rakkha hai vaaiz ko
Ye hazrat dekhne men sidhe-sadhe bhole bhale hain
Mire ashar ai iqbal’ kyuun pyare na hon mujh ko
Mire Tute hue dil ke ye dard-angez naale hain