Ajab junūn-e-masāfat meñ ghar se niklā thā
Khabar nahīñ hai ki sūraj kidhar se niklā thā
Ye kaun phir se unhīñ rāstoñ meñ chhoḌ gayā
Abhī abhī to azāb-e-safar se niklā thā
Ye tiir dil meñ magar be-sabab nahīñ utrā
Koī to harf lab-e-chāragar se niklā thā
Ye ab jo aag banā shahr shahr phailā hai
Yahī dhuāñ mire dīvār-o-dar se niklā thā
Maiñ raat TuuT ke royā to chain se soyā
Ki dil kā zahr mirī chashm-e-tar se niklā thā
Ye ab jo sar haiñ ḳhamīda kulāh kī ḳhātir
Ye aib bhī to ham ahl-e-hunar se niklā thā
Vo qais ab jise majnūñ pukārte haiñ ‘Farāz’
Tirī tarah koī dīvāna ghar se niklā thā