Agar kaj-rau hain anjum asman tera hai ya mera
Mujhe fikr-e-jahan kyuun ho jahn tera hai ya mera
Agar hangama-ha-e-shauq se hai la-makan ḳhali
Khata kis ki hai ya rab la-makan tera hai ya mera
Use subh-e-azal inkar ki jurat hui kyunkar
Mujhe malum kya vo raz-dan tera hai ya mera
Mohammad bhi tira jibril bhi quran bhi tera
Magar ye harf-e-shirin tarjuman tera hai ya mera
Isi kaukab ki tabani se hai tera jahan raushan
Zaval-e-adam-e-ḳhaki ziyan terā hai ya mera