Aflak se aata hai nalon kā javab aḳhir
Karte hain ḳhitab aḳhir uthte hain hijab aḳhir
Ahval-e-mohabbat men kuchh farq nahin aisa
Soz o tab-o-tab avval soz o tab-o-tab aḳhir
Main tujh ko batata huun taqdir-e-umam kya hai
Shamshir-o-sinan avval taūs-o-raubab aḳhir
Mai-ḳhana-e-europe ke dastūr nirāle hai
Laate hain surur avval dete hai sharab aḳhir
Kya dabdaba-e-nadir kya shaukat-e-taimuri
Ho jaate hain sab daftar ġharq-e-mai-e-nab aḳhir
Khalvat ki ghadī guzri jalvat ki ghadi aai
Chhutne ko hai bijli se aġhosh-e-sahab aḳhir
Tha zabt bahut mushkil is sail-e-maani ka
Kah Daale qalandar ne asrar-e-kitab aḳhir