Ab vahi harf-e-junun sab ki zaban Thahri hai
Jo bhi chal nikli hai vo baat kahan Thahri hai
Aaj tak shaiḳh ke ikram men jo shai thi haram
Ab vahi dushman-e-din rahat-e-jan Thahri hai
Hai ḳhabar garm ki phirta hai gurezan naseh
Guftugu aaj sar-e-ku-e-butan Thahri hai
Hai vahi ariz-e-laila vahi shirin ka dahan
Nigah-e-shauq ghadi bhar ko jahan Thahri hai
Vasl ki shab thi to kis darja subuk guzri thi
Hijr ki shab hai to kya saḳht giran Thahri hai
Bikhri ik baar to haath aai hai kab mauj-e-shamim
Dil se nikli hai to kab lab pe fuġhan Thahri hai
Dast-e-sayyad bhi aajiz hai kaf-e-gul-chin bhi
Bū-e-gul Thahri na bulbul ki zaban Thahri hai
Aate aate yunhi dam bhar ko rukī hogi bahar
Jaate jaate yūñhī pal bhar ko ḳhizan Thahri hai
Ham ne jo tarz-e-fuġhan ki hai qafas meñ ījād
‘Faiz’ gulshan meñ vahī tarz-e-bayan Thahri hai