Jis ko dekho vahī zanjīr-ba-pā lagtā hai
Shahr kā shahr huā dāḳhil-e-zindāñ jānāñ
Ab tirā zikr bhī shāyad hī ġhazal meñ aa.e
Aur se aur hue dard ke unvāñ jānāñ
Ham ki rūThī huī rut ko bhī manā lete the
Ham ne dekhā hī na thā mausam-e-hijrāñ jānāñ
Hosh aayā to sabhī ḳhvāb the reza reza
Jaise uḌte hue aurāq-e-pareshāñ jānāñ