Ab jo koī pūchhe bhī to us se kyā sharh-e-hālāt kareñ
Dil Thahre to dard sunā.eñ dard thame to baat kareñ
Shaam huī phir josh-e-qadah ne bazm-e-harīfāñ raushan kī
Ghar ko aag lagā.eñ ham bhī raushan apnī raat kareñ
Qatl-e-dil-o-jāñ apne sar hai apnā lahū apnī gardan pe
Mohr-ba-lab baiThe haiñ kis kā shikva kis ke saath kareñ
Hijr meñ shab bhar dard-o-talab ke chāñd sitāre saath rahe
Sub.h kī vīrānī meñ yaaro kaise basar auqāt kareñ