Ashiqī meñ ‘mīr’ jaise ḳhvāb mat dekhā karo
Bāvle ho jāoge mahtāb mat dekhā karo
Jasta jasta paḌh liyā karnā mazāmīn-e-vafā
Par kitāb-e-ishq kā har baab mat dekhā karo
Is tamāshe meñ ulaT jaatī haiñ aksar kashtiyāñ
Dūbne vāloñ ko zer-e-āb mat dekhā karo
Mai-kade meñ kyā takalluf mai-kashī meñ kyā hijāb
Bazm-e-sāqī meñ adab ādāb mat dekhā karo
Ham se durveshoñ ke ghar aao to yāroñ kī tarah
Har jagah ḳhas-ḳhāna o barfāb mat dekhā karo
Māñge-tāñge kī qabā.eñ der tak rahtī nahīñ
Yaar logoñ ke laqab-alqāb mat dekhā karo
Tishnagī meñ lab bhigo lenā bhī kaafī hai ‘Farāz’
Jaam meñ sahbā hai yā zahrāb mat dekhā karo