Añkhoñ se hayā Tapke hai andāz to dekho
Hai bul-havasoñ par bhī sitam naaz to dekho
Us but ke liye maiñ havas-e-hūr se guzrā
Is ishq-e-ḳhush-anjām kā āġhāz to dekho
Chashmak mirī vahshat pe hai kyā hazrat-e-nāseh
Tarz-e-nigah-e-chashm-e-fusūñ-sāz to dekho
Arbāb-e-havas haar ke bhī jaan pe khele
Kam-tāla.i-e-āshiq-e-jāñ-bāz to dekho
Majlis meñ mire zikr ke aate hī uThe vo
Badnāmi-e-ushshāq kā e.azāz to dekho
Mahfil meñ tum aġhyār ko duz-dīda nazar se
Manzūr hai pinhāñ na rahe raaz to dekho
Us ġhairat-e-nāhīd kī har taan hai dīpak
Sho.ala sā lapak jaa.e hai āvāz to dekho
Deñ pāki-e-dāman kī gavāhī mire aañsū
Us yūsuf-e-bedard kā e.ajāz to dekho
Jannat meñ bhī ‘momin’ na milā haa.e butoñ se
Jaur-e-ajal-e-tafraqa-pardāz to dekho….