Aaj Ki Raat… Jo Meri Tarah Tanha Hai,
Main Kisi Tarah Gujarunga Chala Jaaunga,
Tum Pareshan Na Ho Baab-e-Karam-Wa Na Karo,
Aur Kuchh Der Pukarunga Chala Jaaunga.
Aaj Ki Raat… Jo Meri Tarah Tanha Hai…
Umeed To Manzil Pe Pahunchne Ki Badi Thi,
Takdeer Magar Na Jane Kahan Soyi Padi Thi,
Khush The Ki Gujarenge Rafakat Mein Safar,
Tanhaai Magar Baahon Ko Phailaye Khadi Thi.
Usne Apni Mehndi Ke Baare Me
Mohalle Mein Sabako Bata Rakha Hai
Apni Shadi Ka Nyota
Mere Ghar Par Bhi Bhijava Rakha Hai
Man To Mera Bhi Hai Ki
Aakhri Baar Dekh Loo Use
Par Us Kambakht Ne, Mere Ghar Me
Mujko Chodkar Sabko Bula Rakha Hai
Teri Shadi Wale Din
Accha Hota Barsaat Hoti
Taro Se Bhari
Chandani Wali Raat Hoti
Mai Chupke Se Tujhe
Aakhiri Baar Dekhne Aata
Jab Tu Kisi Or Ki Banane Ke Liye
Phere Ke Liye Taiyaar Hoti
Aapko Yaad Karte Karte
Ab Rato Me
Nind Bhi Nahi Aati Hain
Aati Hain To Bus Yaad Aapki
Par Koi Khabar Nahi Aati
Kitna Bhi Bhula Lu
Use Bhulaya Nahi Jata
Yado Ko Uski Dil Se
Nikala Nahi Jata
Jab Jab Koshish Karte Hain
Yaad Aa Jata Hain
Uska Khubsurat Chehra
Kya Kare Mohhobat Me Vo Gurur Tha Mera.
Also Read – Intezaar Ki Arzoo Ab Kho Gayi Hai
Read More – Real Shayari | Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Browse more content – http://www.needtricks.com
Follow us – https://www.instagram.com/realshayari_/
https://www.facebook.com/RealShaayari
Youtube – https://youtu.be/GWlMAOhK9nA