Aah ko chāhiye ik umr asar hote tak
Kaun jiitā hai tirī zulf ke sar hote tak
Dām-e-har-mauj meñ hai halqa-e-sad-kām-e-nahañg
Dekheñ kyā guzre hai qatre pe guhar hote tak
Ashiqī sabr-talab aur tamannā betāb
Dil kā kyā rañg karūñ ḳhūn-e-jigar hote tak
Ham ne maanā ki taġhāful na karoge lekin
Khaak ho jā.eñge ham tum ko ḳhabar hote tak
Partav-e-ḳhur se hai shabnam ko fanā kī ta.alīm
Maiñ bhī huuñ ek ināyat kī nazar hote tak
Yak nazar besh nahīñ fursat-e-hastī ġhāfil
Garmī-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hote tak
Gham-e-hastī kā ‘asad’ kis se ho juz marg ilaaj
Sham.a har rañg meñ jaltī hai sahar hote tak,,