Aa.e kuchh abr kuchh Sharāb aa.e
Is ke ba.ad aa.e jo Azaab aa.e
Bām-e-mīnā se Māhtāb utre
Dast-e-sāqī meñ Aftāb aa.e
Har rag-e-ḳhūñ meñ phir charāġhāñ ho
Sāmne phir vo be-naqāb aa.e
Umr ke har varaq pe dil kī Nazar
Terī mehr-o-vafā ke baab aa.e
Kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā Hisāb
Aaj tum yaad be-hisāb aa.e
Na ga.ī tere ġham kī sardārī
Dil meñ yuuñ roz inqalāb aa.e
Jal uThe bazm-e-ġhair ke dar-o-bām
Jab bhī ham ḳhānumāñ-ḳharāb aa.e
Is tarah apnī ḳhāmushī gūñjī
Goyā har samt se javāb aa.e
‘Faiz’ thī raah sar-ba-sar manzil
Ham jahāñ pahuñche kāmyāb aa.e