Vo sochte the unki yaad mein bikhar jaenge toot kar hum,
Unhe kya pata, unki yaad mein tadapne ka maza hi kuch aur hai.
Vo sochte the ke mayusi ke badal mein ghir jaenge hum.
Unhe kya pta gam ki syahi mein doob kar chalne ka maza hi kuch aur hai.
Vo kehte the ki in bebas aankhon mein gam ki ghata na chhane dena,
Unhe kya pata ke in motiyon ke bikhar jane mein mazaa hi kuch aur hai.
Unko lagta tha ki tanha hoke mai aasma mein chand taron ki tarah bikhar jaunga,
Unhe kya pta ke andheri rato mein kisi ka sahara ban chamakne ka maza hi kuch aur hai.