Main aksar kehta tha tumse
Main aksar kehta tha tumse, Ki Dekho yeh waqt ki saazishe zaalim hai, Aur dekho tumse Milne ka khwab tha, Khwab hi reh Gaya.
Asli Shayari | Sher | Shayar | Ghazal | Nazm
Main aksar kehta tha tumse, Ki Dekho yeh waqt ki saazishe zaalim hai, Aur dekho tumse Milne ka khwab tha, Khwab hi reh Gaya.
Muddato baad aaj dekha usse, Phir aankho ka dariya hum bhar aaye, Dhadkane tez Hui beshaq , Purane zakhm aaj phir bhar aaye.
Khush hu Teri khushi dekh Kar, Roshan hu Teri roshini deekh Kar, Kabhi toh Meri hasi ki parwah Kar, Meri saansein chalti hai teri muskan dekh Kar.
Intezaar raha aaj bhi Tere laut aane ka, Kisi aur ki jagir main hua bhi nahi, Main Marr toh Gaya hu, Par qabar mein soya nahi.
Na mukammal hua, Muktalif ghata bhi nahi, Na tera ho saka, Aur kisi ka bhi nahi, Na bazaar mein bika, Aur nilaam hua bhi nahi.
Jab hum chaley, Toh tanha the safar mein, Fir tum mile, Gham mile, Tanhayiyan mili, Aur kaafila ban Gaya.
Rubaru hone ki choriyan, Guftagu see bhi katrane lagi hai, Guroor odhe hue kuch rishte, Apni haisiyat par itrane lage hai.
Main tabah hu Tere ishq mein, Tujhe kisi beqadar ka khyal hai, Kabhi toh mere masle par bhi gaur Kar, Ye zindagi aur maut ka sawaal hai.
Thokrey lagti hai, rahgir milte hai, Yakeen jitna jis par bhi karo, Vo itna hi todte hai, Yej bhi kuch kuch Kam nahi, Jo sambhal Gaye unhe bhi log todte…
Ghar ke chirag roshini dete rahe sada, Issi kashmakash mein humne khudko Jala diya, Hua andhera toh bujhe pade chirago ne, Jal Kar apna farz ada kiya.